in nigaahon ko khabar kya shokhiyaan us ishq ki
zindagi-o-maut mein hai doriyaan us ishq ki
pal raha andesha ham ko chaah ki soghat ka
gaah roti gaah hansati seepiyaan us ishq ki
tum kaho ab tay karein to kaise manzil pyaar mein
khud se hi chhipti raheen parchaaiyaan us ishq ki
bad-gumaani ki kasak paida hui jo un dinon
dil mein ham ne rakh-rakhi hai khaamiyaan us ishq ki
aap ki laa-haasili ko apni qismat maan kar
zindagi ka har vo lamha bediyaan us ishq ki
dehr mein hizrat se khud ka murdagaan hona mera
ik haqeeqat thi ye meri jhurriyaan us ishq ki
dasht mein ik shehar tha par ab nahin us ke nishaan
aaj hamko hai mili kuchh chiththiyaan us ishq ki
kuchh dhuen ke baadlon ne nabh utha sir par liya
bhool mein the hai yahin par bastiyaan us ishq ki
jin ke khaatir she'r likkhe vo kabhi sunte nahin
yaad aati hain hamein ab mastiyaan us ishq ki
इन निगाहों को ख़बर क्या शोख़ियाँ उस इश्क़ की
ज़िंदगी-ओ-मौत में है डोरियाँ उस इश्क़ की
पल रहा अंदेशा हम को चाह की सौग़ात का
गाह रोती गाह हँसती सीपियाँ उस इश्क़ की
तुम कहो अब तय करें तो कैसे मंज़िल प्यार में
ख़ुद से ही छिपती रहीं, परछाइयाँ उस इश्क़ की
बद-गुमानी की कसक पैदा हुई जो उन दिनों
दिल में हम ने रख-रखी है ख़ामियाँ उस इश्क़ की
आप की ला-हासिली को अपनी क़िस्मत मान कर
ज़िंदगी का हर वो लम्हा बेड़ियाँ उस इश्क़ की
दहर में हिज़रत से ख़ुद का मुर्दगाँ होना मेरा
इक हक़ीक़त थी ये मेरी झुर्रियाँ उस इश्क़ की
दश्त में इक शहर था पर अब नहीं उस के निशाँ
आज हमको है मिली कुछ चिठ्ठियाँ उस इश्क़ की
कुछ धुँए के बादलों ने नभ उठा सिर पर लिया
भूल में थे, है यहीं पर बस्तियाँ उस इश्क़ की
जिन के ख़ातिर शे'र लिक्खे वो कभी सुनते नहीं
याद आती हैं हमें अब मस्तियाँ उस इश्क़ की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivansh Singhaniya
our suggestion based on Shivansh Singhaniya
As you were reading Zindagi Shayari Shayari