kaatib ne us ki preet ko naakaam likh diya
dasht-e-junoon mein qais ka anjaam likh diya
maqtoob kis ka kis ko ye paigaam de diya
shikaayat bata ye kis ne mera naam likh diya
gham nonch kar ke us ne ghazal mein jo rakh diye
maghz-e-sukhan ko jaan ke ilhaam likh diya
ham bhi bhula sake na vo kaajal hijaab ka
ham naam likh sake na to hamnaam likh diya
us ko nahin umeed thi duniya se prem ki
radha ne apne naam mein ghanshyaam likh diya
maara hamein lihaaz se kal raat bazm me
shayar ne gul ghazal mein tira naam likh diya
qaateel wahi aziz meri jaan ka hua
ahl-e-junoon mein qatl sar-e-aam likh diya
kaabu raha na shiv pe to may tishnagi hua
khud ko sukhun ki chaah mein khayyaam likh diya
कातिब ने उस कि प्रीत को नाकाम लिख दिया
दश्त-ए-जुनूँ में क़ैस का अंजाम लिख दिया
मक़्तूब किस का, किस को ये पैग़ाम दे दिया
क़ासिद बता ये किस ने मिरा नाम लिख दिया
ग़म नोंच कर के उस ने ग़ज़ल में जो रख दिए
मग़्ज़-ए-सुख़न को जान के इल्हाम लिख दिया
हम भी भुला सके न वो काजल हिजाब का
हम नाम लिख सके न तो हमनाम लिख दिया
उस को नहीं उमीद थी दुनिया से प्रेम की
राधा ने अपने नाम में घनश्याम लिख दिया
मारा हमें लिहाज़ से कल रात बज़्म मे
शायर ने 'गुल' ग़ज़ल में तिरा नाम लिख दिया
क़ातिल वही 'अज़ीज़ मिरी जान का हुआ
अहल-ए-जुनूँ में क़त्ल सर-ए-आम लिख दिया
काबू रहा न 'शिव' पे तो मय तिश्नगी हुआ
ख़ुद को सुख़न की चाह में ख़य्याम लिख दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivansh Singhaniya
our suggestion based on Shivansh Singhaniya
As you were reading Shama Shayari Shayari