noor barsa hai kis aashiyaan se | नूर बरसा है किस आशियाँ से

  - Shivansh Singhaniya

noor barsa hai kis aashiyaan se
dhoop aati hai mahvish kahaan se

ab na hamko talaasha karo tum
ham fana ho gaye hai jahaan se

hai nigodi mohabbat ye kaisi
guftoogoo kar raha raftagan se

tu gumaan kar na apni jabeen par
dastaan ban gai dastaan se

tum na rutho mohabbat se itna
uth chale ham tere aastaan se

umr bhar qaid dil mein rahenge
ham na uf bhi karenge zabaan se

raat hai jaam-khusha-e-mehfil
khoob guzri hai peer-e-mugan se

ashk-e-deeda hue ishq-e-ghafil
zehar utara nahin jism-o-jaan se

tum batao main jaaun kahaan ab
shiv gaya haar is imtihaan se

नूर बरसा है किस आशियाँ से
धूप आती है महविश कहाँ से

अब न हमको तलाशा करो तुम
हम फ़ना हो गए है जहाँ से

है निगोड़ी मोहब्बत ये कैसी
गुफ़्तूगू कर रहा रफ्तगाँ  से

तू गुमाँ कर न अपनी जबीं पर
दास्ताँ बन गई दास्ताँ से

तुम न रूठो मोहब्बत से इतना
उठ चले हम तेरे आस्ताँ से

उम्र भर क़ैद दिल में रहेंगे
हम न उफ़ भी करेंगें ज़बाँ से

रात है जाम-ख़ोशा-ए-महफ़िल
ख़ूब गुज़री है पीर-ए-मुग़ाँ से

अश्क-ए-दीदा हुए इश्क़-ए-ग़ाफ़िल
ज़हर उतरा नहीं जिस्म-ओ-जाँ से

तुम बताओ मैं जाऊँ कहाँ अब
शिव गया हार इस इम्तिहाँ से

  - Shivansh Singhaniya

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivansh Singhaniya

As you were reading Shayari by Shivansh Singhaniya

Similar Writers

our suggestion based on Shivansh Singhaniya

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari