kisi ko zaar banna hai | किसी को ज़ार बनना है

  - Vishakt ki Kalam se

kisi ko zaar banna hai
kisi ko haar banna hai

kisi ko aag khaani hai
kise angaar banna hai

kisi ka sur nahin lagta
use jhankaar banna hai

hamaara dil nahin lagta
hame tankar banna hai

samooche vishwa ke aage
mujhe lalaakar banna hai

mujhe hi aag khaani hai
mujhe angaar banna hai

lahu se khelne waali
mujhe talwaar banna hai

mujhe bhi jeet chakhni hai
kisi kii haar banna hai

mujhe aakaash choona hai
nahin bas bhaar banna hai

mujhe sab ved padhne hain
nahin bekar banna hai

jagat kii is kathaa ka ab
mujhe hi saar banna hai

mujhe duniya badalni hai
mujhe auzaar banna hai

nahin maanav mujhe rahna
mujhe avtaar banna hai

किसी को ज़ार बनना है
किसी को हार बनना है

किसी को आग खानी है
किसे अंगार बनना है

किसी का सुर नहीं लगता
उसे झंकार बनना है

हमारा दिल नहीं लगता
हमे टंकार बनना है

समूचे विश्व के आगे
मुझे ललकार बनना है

मुझे ही आग खानी है
मुझे अंगार बनना है

लहू से खेलने वाली
मुझे तलवार बनना है

मुझे भी जीत चखनी है
किसी की हार बनना है

मुझे आकाश छूना है
नहीं बस भार बनना है

मुझे सब वेद पढ़ने हैं
नहीं बेकार बनना है

जगत की इस कथा का अब
मुझे ही सार बनना है

मुझे दुनिया बदलनी है
मुझे औजार बनना है

नहीं मानव मुझे रहना
मुझे अवतार बनना है

  - Vishakt ki Kalam se

More by Vishakt ki Kalam se

As you were reading Shayari by Vishakt ki Kalam se

Similar Writers

our suggestion based on Vishakt ki Kalam se

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari