is dil ko ghere hai tere khumaar ka mausam
jaane kab aayega mere dayaar ka mausam
kab mere dil par apne haathon ko rakhhoge
kab aayega is jungle mein bahaar ka mausam
sukhe baagon mein rangee phoolon ka jamghat hai
shaayad aane waala hai khush-gawaar ka mausam
tumko yah taaron ke mausam pasand aate hai
main chori kar laaya tere shumaar ka mausam
ye meri aankhe tere intizaar ko tarsen
jaane kab jaayega yah sogwaar ka mausam
jis din ham dono aasmaan mein udte honge
tab hi dekhenge taaron ke sharaar ka mausam
इस दिल को घेरे है तेरे ख़ुमार का मौसम
जाने कब आएगा मेरे दयार का मौसम
कब मेरे दिल पर अपने हाथों को रक्खोगे
कब आयेगा इस जंगल में बहार का मौसम
सूखे बाग़ों में रंगी फूलों का जमघट है
शायद आने वाला है ख़ुश-गवार का मौसम
तुमको यह तारों के मौसम पसंद आते है
मैं चोरी कर लाया तेरे शुमार का मौसम
ये मेरी आँखे तेरे इंतिज़ार को तरसें
जाने कब जाएगा यह सोगवार का मौसम
जिस दिन हम दोनो आसमान में उड़ते होंगे
तब ही देखेंगे तारों के शरार का मौसम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ALI ZUHRI
our suggestion based on ALI ZUHRI
As you were reading Environment Shayari Shayari