in bahaaron mein koi aise bache patte nahin hain | इन बहारों में कोई ऐसे बचे पत्ते नहीं हैं - Vikas Shah musafir

in bahaaron mein koi aise bache patte nahin hain
jo hawa ke imtiyaaz-e-husn se hilte nahin hain

saari barkat jalne waalon ki dua se hai yahan par
warna apna kehne waale yaad bhi karte nahin hain

gar tujhe mujhko jagah deni hai apni rooh mein de
ham bhi to ab har kisi ki rooh mein baste nahin hain

karke bhi ab zid se kya hi hoga haasil ishq mujhko
jo bahut shiddat se karte hain vo ab milte nahin hain

paas hokar unse mera faasla badh kyun raha ye
unki marzi hai ya mujhko khone se darte nahin hain

unke aa jaane se ab kyun ud gaye ye baagh-bhanware
apni aadat se mujhe vo aise to lagte nahin hain

ye khuda ka shukr hai ham mar gaye tum pe nahin to
ham vo the jo zahar kha ke bhi kabhi marte nahin hain

kuch nahin hai ab musafir tere guldaste mein mahfooz
ab to vo teri khamoshi bhi kabhi padhte nahin hain

इन बहारों में कोई ऐसे बचे पत्ते नहीं हैं
जो हवा के इम्तियाज़-ए-हुस्न से हिलते नहीं हैं

सारी बरकत जलने वालों की दुआ से है यहाँ पर
वर्ना अपना कहने वाले याद भी करते नहीं हैं

गर तुझे मुझको जगह देनी है अपनी रूह में दे
हम भी तो अब हर किसी की रूह में बसते नहीं हैं

करके भी अब ज़िद से क्या ही होगा हासिल इश्क़ मुझको
जो बहुत शिद्दत से करते हैं वो अब मिलते नहीं हैं

पास होकर उनसे मेरा फ़ासला बढ़ क्यों रहा ये
उनकी मर्ज़ी है या मुझको खोने से डरते नहीं हैं

उनके आ जाने से अब क्यों उड़ गए ये बाग़-भँवरे
अपनी आदत से मुझे वो ऐसे तो लगते नहीं हैं

ये ख़ुदा का शुक्र है हम मर गए तुम पे नहीं तो
हम वो थे जो ज़हर खा के भी कभी मरते नहीं हैं

कुछ नहीं है अब मुसाफ़िर तेरे गुलदस्ते में महफ़ूज़
अब तो वो तेरी ख़मोशी भी कभी पढ़ते नहीं हैं

- Vikas Shah musafir
1 Like

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari