bheed mein duniya ke har ik shakhs tanhaa hai | भीड़ में दुनिया के हर इक शख़्स तन्हा है - Yasmin Khan

bheed mein duniya ke har ik shakhs tanhaa hai
aashnaai ke liye bas chehra khud ka hai

tazkira chhedo na uske bewafaai ka
ab tumhein ham kya bataaye baat kya-kya hai

khwaab mein dikhta hai sehra bhi mujhe dariya
jaagti hoon to mere liye dariya bhi sehra hai

kiska daaman thaam kar tum chalte rahte ho
waqt ka kya hai bharosa faani lamha hai

naape kaise ham tire aankhon ki tanhaai
ek toofaan ka tire aankhon pe pahra hai

भीड़ में दुनिया के हर इक शख़्स तन्हा है
आशनाई के लिए बस चेहरा ख़ुद का है

तज़्किरा छेड़ो न उसके बेवफ़ाई का
अब तुम्हें हम क्या बताए बात क्या-क्या है

ख़्वाब में दिखता है सहरा भी मुझे दरिया
जागती हूँ तो मिरे लिए दरिया भी सहरा है

किसका दामन थाम कर तुम चलते रहते हो
वक़्त का क्या है भरोसा, फ़ानी लम्हा है

नापे कैसे हम तिरे आँखों की तन्हाई
एक तूफ़ाँ का तिरे आँखों पे पहरा है

- Yasmin Khan
0 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmin Khan

As you were reading Shayari by Yasmin Khan

Similar Writers

our suggestion based on Yasmin Khan

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari