hai sab ke bakht mein likhi tahreer maut kii
kis ko khabar ki kab dikhe tasveer maut kii
kal khwaab aaya tha mujhe meri be-zabaan ka
hai umr badhna to nahin taabeer maut kii
kal tak jo mujh pe hanste the vo ro rahe hain ab
mar jaane par pata chali taaseer maut kii
mit kar khudi mitaaya hai usne ghamon ko par
kya itne gham the jo chuni tadbeer maut kii
ab dar raha hoon roz gunaahon ko ginte main
kal roz sun raha tha main wafaat maut kii
khul kar abhi jiyo ki tum azaad ho abhi
ik din to baandh degi ye zanjeer maut kii
है सब के बख़्त में लिखी तहरीर मौत की
किस को ख़बर कि कब दिखे तस्वीर मौत की
कल ख़्वाब आया था मुझे मेरी वफ़ात का
है उम्र बढ़ना तो नहीं ताबीर मौत की
कल तक जो मुझ पे हँसते थे वो रो रहे हैं अब
मर जाने पर पता चली तासीर मौत की
मिट कर ख़ुदी मिटाया है उसने ग़मों को पर
क्या इतने ग़म थे जो चुनी तदबीर मौत की
अब डर रहा हूँ रोज़ गुनाहों को गिनते मैं
कल रोज़ सुन रहा था मैं तफ़्सीर मौत की
खुल कर अभी जियो कि तुम आज़ाद हो अभी
इक दिन तो बाँध देगी ये ज़ंजीर मौत की
As you were reading Shayari by Zaan Farzaan
our suggestion based on Zaan Farzaan
As you were reading undefined Shayari