sarfaroshan-e-watan ka ye khayal achha hai | सरफ़रोशान-ए-वतन का ये ख़याल अच्छा है - Aaftab Rais Panipati

sarfaroshan-e-watan ka ye khayal achha hai
hind ke vaaste marne ka maal achha hai
jazba-e-hubb-e-watan ho na agar dil mein nihaan
aise jeene se to marne ka khayal achha hai
zarra-e-khaak-e-watan mehr-e-darkhshaan hai mujhe
vo samjhte rahein england ka maal achha hai
jaan-b-lab hai sitam-iijaad ke haathon se watan
kaun kehta hai mere hind ka haal achha hai
un ko paris ke nazaaron pe fida hone do
mujh ko bharat ke liye ranj-o-malaal achha hai
karne deta nahin jallaad zabaan se uf tak
dil mein kehta hai ghareebon ka sawaal achha hai
lajpat-rai ki shamshaan se aati hai sada
mulk ki raah mein mitne ka khayal achha hai
apne matlab ke liye mulk ka dushman jo bane
aise kambakht ka duniya mein zawaal achha hai
zar ke thaalon mein matan chaap udaane do unhen
hum ghareebon ko magar jaam-e-sifaal achha hai
aftaab aaj phansa jaata hai phir taair-e-dil
haaye afsos ki sayyaad ka jaal achha hai

सरफ़रोशान-ए-वतन का ये ख़याल अच्छा है
हिन्द के वास्ते मरने का मआल अच्छा है
जज़्बा-ए-हुब्ब-ए-वतन हो न अगर दिल में निहाँ
ऐसे जीने से तो मरने का ख़याल अच्छा है
ज़र्रा-ए-ख़ाक-ए-वतन मेहर-ए-दरख़्शाँ है मुझे
वो समझते रहें इंग्लैण्ड का माल अच्छा है
जाँ-ब-लब है सितम-ईजाद के हाथों से वतन
कौन कहता है मिरे हिन्द का हाल अच्छा है
उन को पैरिस के नज़ारों पे फ़िदा होने दो
मुझ को भारत के लिए रंज-ओ-मलाल अच्छा है
करने देता नहीं जल्लाद ज़बाँ से उफ़ तक
दिल में कहता है ग़रीबों का सवाल अच्छा है
लाजपत-राय की शमशान से आती है सदा
मुल्क की राह में मिटने का ख़याल अच्छा है
अपने मतलब के लिए मुल्क का दुश्मन जो बने
ऐसे कम्बख़्त का दुनिया में ज़वाल अच्छा है
ज़र के थालों में मटन चाप उड़ाने दो उन्हें
हम ग़रीबों को मगर जाम-ए-सिफ़ाल अच्छा है
'आफ़्ताब' आज फँसा जाता है फिर ताइर-ए-दिल
हाए अफ़्सोस कि सय्याद का जाल अच्छा है

- Aaftab Rais Panipati
0 Likes

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aaftab Rais Panipati

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari