go raat ki jabeen se siyaahi na dhul saki
lekin mera charaagh barabar jala kiya
jis se dilon mein ab bhi hararat ki hai numood
barson meri lahd se vo shola utha kiya
feeka hai jis ke saamne aks-e-jamaal-e-yaar
azm-e-javaan ko main ne vo ghaaza ata kiya
mere lahu ki boond mein ghaltan theen bijliyaan
khaak-e-dakan ko main ne sharar-aashna kiya
saahil ki aankh mein magar aayi na kuchh kami
dariya mein laakh laakh talaatum hua kiya
khwaab-e-giraan se gunchon ki aankhen na khul sakeen
go shaakh-e-gul se naghma barabar utha kiya
ye bazm aisi soi ki jaagi na aaj tak
fitrat ka kaarwaan hai ki aage badha kiya
maara hua hoon go khalish-e-intezaar ka
mushtaaq aaj bhi hoon payaam-e-bahaar ka
गो रात की जबीं से सियाही न धुल सकी
लेकिन मिरा चराग़ बराबर जला किया
जिस से दिलों में अब भी हरारत की है नुमूद
बरसों मिरी लहद से वो शो'ला उठा किया
फीका है जिस के सामने अक्स-ए-जमाल-ए-यार
अज़्म-ए-जवाँ को मैं ने वो ग़ाज़ा अता किया
मेरे लहू की बूँद में ग़लताँ थीं बिजलियाँ
ख़ाक-ए-दकन को मैं ने शरर-आश्ना किया
साहिल की आँख में मगर आई न कुछ कमी
दरिया में लाख लाख तलातुम हुआ किया
ख़्वाब-ए-गिराँ से ग़ुंचों की आँखें न खुल सकीं
गो शाख़-ए-गुल से नग़्मा बराबर उठा किया
ये बज़्म ऐसी सोई कि जागी न आज तक
फ़ितरत का कारवाँ है कि आगे बढ़ा किया
मारा हुआ हूँ गो ख़लिश-ए-इंतिज़ार का
मुश्ताक़ आज भी हूँ पयाम-ए-बहार का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aale Ahmad Suroor
our suggestion based on Aale Ahmad Suroor
As you were reading Kashmir Shayari Shayari