dhoop ke shehar mein hue saaye | धूप के शहर में हुए साए - Aamir Azher

dhoop ke shehar mein hue saaye
shukr kiska karoon ki aap aaye

ab to jaakar bhatkna seekha hai
ab koi raasta na dikhlaaye

ik zamaane ki khaak chaani hai
tere dar se kabhi na uth paaye

munjamit khwaab hai na taabirein
kaun si rah pe koi jam jaaye

ek be-naksh naksh paaya hai
jaane kitne nakoosh thukraaye

jisko fart-e-junoon ka khatra ho
uski baaton se jee na behlaaye

jo kate the tujhe bhulaane mein
hamko vo din hamesha yaad aaye

apni tashreeh kya karein aamir
kaun samjhe huoon ko samjhaaye

धूप के शहर में हुए साए
शुक्र किसका करूँ कि आप आए

अब तो जाकर भटकना सीखा है
अब कोई रास्ता न दिखलाए

इक ज़माने की ख़ाक छानी है
तेरे दर से कभी न उठ पाए

मुंजमित ख़्वाब है न ताबीरें
कौन सी रह पे कोई जम जाए

एक बे-नक्श नक्श पाया है
जाने कितने नकूश ठुकराए

जिसको फ़र्त-ए-जुनूँ का ख़तरा हो
उसकी बातों से जी न बहलाए

जो कटे थे तुझे भुलाने में
हमको वो दिन हमेशा याद आए

अपनी तशरीह क्या करें 'आमिर'
कौन समझे हुओं को समझाए

- Aamir Azher
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aamir Azher

As you were reading Shayari by Aamir Azher

Similar Writers

our suggestion based on Aamir Azher

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari