padh lega koi raat ki roee hui aankhen
har samt hain aaraam se soi hui aankhen
jin logon ki manzil pe nazar hoti hai har dam
un ka hi tamasha hain ye khoi hui aankhen
din bhar to jame rahte hain palkon pe wahi khwaab
kyun hosh mein laati nahin dhoi hui aankhen
aankhon ka jamaal aap ko maaloom hi kya hai
dekhi hain kabhi raat vo soi hui aankh
kuchh bhi na dikha mojiza tha hi yahi aamir
khuli gaeein zamzam se bhigoi hui aankhen
पढ़ लेगा कोई रात की रोई हुई आँखें
हर सम्त हैं आराम से सोई हुई आँखें
जिन लोगों की मंज़िल पे नज़र होती है हर दम
उन का ही तमाशा हैं ये खोई हुई आँखें
दिन भर तो जमे रहते हैं पलकों पे वही ख़्वाब
क्यों होश में लाती नहीं धोई हुई आँखें
आँखों का जमाल आप को मालूम ही क्या है
देखी हैं कभी रात वो सोई हुई आँख
कुछ भी न दिखा मोजिज़ा था ही यही 'आमिर'
खोली गईं ज़मज़म से भिगोई हुई आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aamir Azher
our suggestion based on Aamir Azher
As you were reading Good night Shayari Shayari