vo kuchh gahri soch mein aise doob gaya hai | वो कुछ गहरी सोच में ऐसे डूब गया है

  - Aanis Moin

vo kuchh gahri soch mein aise doob gaya hai
baithe baithe nadi kinaare doob gaya hai

aaj ki raat na jaane kitni lambi hogi
aaj ka suraj shaam se pehle doob gaya hai

vo jo pyaasa lagta tha sailaab-zada tha
paani paani kahte kahte doob gaya hai

mere apne andar ek bhanwar tha jis mein
mera sab kuchh saath hi mere doob gaya hai

shor to yun utha tha jaise ik toofaan ho
sannaate mein jaane kaise doob gaya hai

aakhiri khwaahish poori kar ke jeena kaisa
aanas bhi saahil tak aa ke doob gaya hai

वो कुछ गहरी सोच में ऐसे डूब गया है
बैठे बैठे नदी किनारे डूब गया है

आज की रात न जाने कितनी लम्बी होगी
आज का सूरज शाम से पहले डूब गया है

वो जो प्यासा लगता था सैलाब-ज़दा था
पानी पानी कहते कहते डूब गया है

मेरे अपने अंदर एक भँवर था जिस में
मेरा सब कुछ साथ ही मेरे डूब गया है

शोर तो यूँ उट्ठा था जैसे इक तूफ़ाँ हो
सन्नाटे में जाने कैसे डूब गया है

आख़िरी ख़्वाहिश पूरी कर के जीना कैसा
'आनस' भी साहिल तक आ के डूब गया है

  - Aanis Moin

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari