ajab talaash-e-musalsal ka ikhtitaam hua | अजब तलाश-ए-मुसलसल का इख़्तिताम हुआ

  - Aanis Moin

ajab talaash-e-musalsal ka ikhtitaam hua
husool-e-rizq hua bhi to zer-e-daam hua

tha intizaar manaaenge mil ke diwali
na tum hi laut ke aaye na waqt-e-shaam hua

har ek shehar ka mea'ar mukhtalif dekha
kahi pe sar kahi pagdi ka ehtiraam hua

zara si umr adavat ki lambi fehristen
ajeeb qarz viraasat mein mere naam hua

na thi zameen mein wusa'at meri nazar jaisi
badan thaka bhi nahin aur safar tamaam hua

ham apne saath liye phir rahe hain pachtawa
khayal laut ke jaane ka gaam gaam hua

अजब तलाश-ए-मुसलसल का इख़्तिताम हुआ
हुसूल-ए-रिज़्क़ हुआ भी तो ज़ेर-ए-दाम हुआ

था इंतिज़ार मनाएँगे मिल के दीवाली
न तुम ही लौट के आए न वक़्त-ए-शाम हुआ

हर एक शहर का मेआ'र मुख़्तलिफ़ देखा
कहीं पे सर कहीं पगड़ी का एहतिराम हुआ

ज़रा सी उम्र अदावत की लम्बी फ़ेहरिस्तें
अजीब क़र्ज़ विरासत में मेरे नाम हुआ

न थी ज़मीन में वुसअ'त मिरी नज़र जैसी
बदन थका भी नहीं और सफ़र तमाम हुआ

हम अपने साथ लिए फिर रहे हैं पछतावा
ख़याल लौट के जाने का गाम गाम हुआ

  - Aanis Moin

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aanis Moin

As you were reading Shayari by Aanis Moin

Similar Writers

our suggestion based on Aanis Moin

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari