dayaar-e-khwaab ke udhar
musafiron ki bastiyaan
nasheeli kaali badliyaan sharaabiyon ki toliyaan
nasha badhaati dhaani dhaani chunariyaan
mehakte kunwaare jism chilmanon ki teeliyaan
sajeeli reshmi paron mein rang-birangi titliyan
paki pakaai auraton mein shahvaton ki bijliyaan
zara si raat bheeg jaaye
phir suno andhere ki zabaan
thake thakaaye jism haanfati latkati chaatiyaan
shafeeq aankhen maon ki raheem loriyaan
khizaan lutaati kahkashaan
dhuaan ugalati chimniyaan
dhadakte dil nidhaal jism dhoop ke makaan
sunhare surkh pairhan bhigoti shahr-zaadiyaan
gadele gande pokharon mein tairti hain machliyaan
na jaane kis gunaah ki saza mein bahti nadiyaan
zara si raat bheeg jaaye
phir suno andhere ki zabaan
dayaar-e-khwaab ke udhar
musafiron ki bastiyaan
दयार-ए-ख़्वाब के उधर
मुसाफ़िरों की बस्तियाँ
नशीली काली बदलियाँ शराबियों की टोलियाँ
नशा बढ़ाती धानी धानी चुनरियाँ
महकते कुँवारे जिस्म चिलमनों की तीलियाँ
सजीली रेशमी परों में रंग-बिरंगी तितलियाँ
पकी पकाई औरतों में शहवतों की बिजलियाँ
ज़रा सी रात भीग जाए,
फिर सुनो अंधेरे की ज़बाँ
थके थकाए जिस्म हाँफती लटकती छातियाँ
शफ़ीक़ आँखें माओं की रहीम लोरियाँ
ख़िज़ाँ लुटाती कहकशाँ,
धुआँ उगलती चिमनियाँ
धड़कते दिल, निढाल जिस्म, धूप के मकाँ
सुनहरे सुर्ख़ पैरहन भिगोती शहर-ज़ादियाँ
गदेले गंदे पोखरों में तैरती हैं मछलियाँ
न जाने किस गुनाह की सज़ा में बहती नदियाँ
ज़रा सी रात भीग जाए,
फिर सुनो अंधेरे की ज़बाँ
दयार-ए-ख़्वाब के उधर
मुसाफ़िरों की बस्तियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aashufta Changezi
our suggestion based on Aashufta Changezi
As you were reading Neend Shayari Shayari