saheeh kah rahe ho
shikaayat baja hai tumhaari
ghane gard chehre tumhaare nahin hain
khizaan-zaade shehron ka rukh kar rahe hain
gulaabi hare neele peele
sabhi rang mausam uda le gaya hai
koi dhaani chunri
hawa se nahin khelti hai
kahaani sunaao kisi waqt bhi
ki din raat ki qaid baaki nahin hai
suna hai
musaafir koi raasta ab nahin bhoolta
sahi kah rahe ho
ki ye mas'ala bhi tumhaara nahin hai
सहीह कह रहे हो
शिकायत बजा है तुम्हारी
घने गर्द चेहरे तुम्हारे नहीं हैं
ख़िज़ाँ-ज़ादे शहरों का रुख़ कर रहे हैं
गुलाबी हरे नीले पीले
सभी रंग मौसम उड़ा ले गया है
कोई धानी चुनरी
हवा से नहीं खेलती है
कहानी सुनाओ किसी वक़्त भी
कि दिन रात की क़ैद बाक़ी नहीं है
सुना है
मुसाफ़िर कोई रास्ता अब नहीं भूलता
सही कह रहे हो
कि ये मसअला भी तुम्हारा नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aashufta Changezi
our suggestion based on Aashufta Changezi
As you were reading Gunaah Shayari Shayari