nasri nazm | "नसरी नज़्म" - Aasi Rizvi

nasri nazm

nasr abbaa nazm amaan dono ko inkaar hai
ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-waar hai
sirf lafzaazi pe mabni hai ye tajreedi kalaam
jis mein anqa hain maani lafz parda-daar hai
nasr hai gar nasr to vo nazm ho sakti nahin
nazm jo ho nasr ki maanind vo be-kaar hai
qaafiye ki koi paabandi na hai qaid-e-radif
be-dar-o-deewaar ka ye ghar bhi kya purkaar hai
bahar se azaad qaid-e-wazan se hai be-niyaaz
waah kya madar pidar azaad ye dildaar hai
martabe mein meer o mumin se hai har koi buland
in mein har be-bahr ghalib se bada fankaar hai
jis ke chamche jitne ziyaada hon vo utna hi azeem
aaj kal misra uthaana ek kaarobaar hai
daad sirf apnon ko dete hain giroh-andar-giroh
un ke tole se jo baahar ho gaya murdaar hai
ban gaya ustaad-o-allaama yahan har be-shuur
kor-chashm ahl-e-nazar hone ka daavedaar hai
shaayri juz-shairi hai hai zara mehnat-talab
aur mehnat hi vo shay hai jis se un ko aar hai
paap-music ke liye mauzoon hai nasri shaayri
har rivaayat se bagaavat ki ye daavedaar hai
tabb-e-mauzoon gar na bakshi ho khuda ne aap ko
shaayri kyun kijeye aakhir kya khuda ki maar hai
daad dena aisi nazmon ko badi be-daad hai
jo na samjha aur kahe samjha bada makkaar hai

"नसरी नज़्म"

नस्र अब्बा नज़्म अमाँ दोनों को इंकार है
ये जो नसरी नज़्म है ये किस की पैदा-वार है
सिर्फ़ लफ्फ़ाज़ी पे मब्नी है ये तजरीदी कलाम
जिस में अन्क़ा हैं मआनी लफ़्ज़ पर्दा-दार है
नस्र है गर नस्र तो वो नज़्म हो सकती नहीं
नज़्म जो हो नस्र की मानिंद वो बे-कार है
क़ाफ़िए की कोई पाबंदी न है क़ैद-ए-रदीफ़
बे-दर-ओ-दीवार का ये घर भी क्या पुरकार है
बहर से आज़ाद क़ैद-ए-वज़न से है बे-नियाज़
वाह क्या मदर पिदर आज़ाद ये दिलदार है
मर्तबे में 'मीर' ओ 'मोमिन' से है हर कोई बुलंद
इन में हर बे-बहर ग़ालिब से बड़ा फ़नकार है
जिस के चमचे जितने ज़्यादा हों वो उतना ही अज़ीम
आज कल मिसरा उठाना एक कारोबार है
दाद सिर्फ़ अपनों को देते हैं गिरोह-अंदर-गिरोह
उन के टोले से जो बाहर हो गया मुरदार है
बन गया उस्ताद-ओ-अल्लामा यहाँ हर बे-शुऊर
कोर-चश्म अहल-ए-नज़र होने का दावेदार है
शाइरी जुज़-शाइरी है है ज़रा मेहनत-तलब
और मेहनत ही वो शय है जिस से उन को आर है
पाप-म्यूज़िक के लिए मौज़ूँ है नसरी शाइरी
हर रिवायत से बग़ावत की ये दावेदार है
तब्अ-ए-मौज़ूँ गर न बख़्शी हो ख़ुदा ने आप को
शाइरी क्यूँ कीजे आख़िर क्या ख़ुदा की मार है
दाद देना ऐसी नज़्मों को बड़ी बे-दाद है
जो न समझा और कहे समझा बड़ा मक्कार है

- Aasi Rizvi
13 Likes

Mehnat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aasi Rizvi

Similar Moods

As you were reading Mehnat Shayari Shayari