apna jab saaybaan bech aaye
aap phir aasmaan bech aaye
kaudiyaan qeemati lagi hongi
tabhi heero ki khaan bech aaye
katre par aur yah hawa de di
ki parinde udaan bech aaye
vaaste haq ke bhi nahin uthati
dar ko jab se zabaan bech aaye
अपना जब सायबान बेच आए
आप फिर आसमान बेच आए
कौड़ियाँ क़ीमती लगी होंगी
तभी हीरों की खान बेच आए
कतरे पर और यह हवा दे दी
कि परिंदे उड़ान बेच आए
वास्ते हक़ के भी नहीं उठती
डर को जब से ज़बान बेच आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Urdu Shayari Shayari