baat seedhi kahoon taaki diqqat nahin ho
aap meri zaroorat ho aadat nahin ho
doosra koi mil jaayega shak hai is par
theek dikhte ho par khoobsurat nahin ho
pehle se kah raha hoon ki peeta hoon daaru
baad mein taaki koi shikaayat nahin ho
yah dua poori ho hi nahin sakti jaanaan
raah-e-ulfat mein koi museebat nahin ho
bewafa ke liye yah dua ki hai aatish
jo zaroori vo ho kintu barkat nahin ho
बात सीधी कहूँ ताकि दिक़्क़त नहीं हो
आप मेरी ज़रूरत हो आदत नहीं हो
दूसरा कोई मिल जाएगा शक है इस पर
ठीक दिखते हो पर ख़ूबसूरत नहीं हो
पहले से कह रहा हूँ कि पीता हूँ दारू
बाद में ताकि कोई शिकायत नहीं हो
यह दुआ पूरी हो ही नहीं सकती जानाँ
राह-ए-उल्फ़त में कोई मुसीबत नहीं हो
बेवफ़ा के लिए यह दुआ की है आतिश
जो ज़रूरी वो हो किन्तु बरकत नहीं हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Sach Shayari Shayari