khote sikko ka jab hota hai qabza bazaaron par | खोटे सिक्कों का जब होता है क़ब्ज़ा बाज़ारों पर

  - Aatish Indori

khote sikko ka jab hota hai qabza bazaaron par
aib lagaye jaate hain tab sone ke kaldaron par

qabza hai gar makkaaron ka satta ke galiyaaron par
kaalikh putni tay hai tab seedhe sacche kirdaaron par

yun to teri picture chipkaai sabne deewaron par
par sab bhaage bas main chala teri khaatir angaaron par

haathon mein dam-kham kam tha is kaaran se kashti doobi
sach kuchh bhi ho par doshaaropan hoga patwaaron par

avsar aaya hai achhe logon ko sansad mein bhejo
aanch lagi hai aane zinda rahne ke adhikaaron par

janta ke haq ke baabat jab sawaal pooche jaayenge
tum bhi fauran tohmat baandhoge pichhli sarkaron par

खोटे सिक्कों का जब होता है क़ब्ज़ा बाज़ारों पर
ऐब लगाये जाते हैं तब सोने के कल्‍दारों पर

क़ब्ज़ा है गर मक्कारों का सत्ता के गलियारों पर
कालिख पुतनी तय है तब सीधे सच्चे किरदारों पर

यूँ तो तेरी पिक्चर चिपकाई सबने दीवारों पर
पर सब भागे बस मैं चला तेरी ख़ातिर अंगारों पर

हाथों में दम-ख़म कम था इस कारण से कश्ती डूबी
सच कुछ भी हो पर दोषारोपण होगा पतवारों पर

अवसर आया है अच्छे लोगों को संसद में भेजो
आँच लगी है आने ज़िंदा रहने के अधिकारों पर

जनता के हक़ के बाबत जब सवाल पूछे जाएँगे
तुम भी फ़ौरन तोहमत बाँधोगे पिछली सरकारों पर

  - Aatish Indori

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari