dil lagaaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte | दिल लगाया है तो नफ़रत भी नहीं कर सकते - Abbas Dana

dil lagaaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte
ab tire shehar se hijrat bhi nahin kar sakte

aakhri waqt mein jeene ka sahaara hai yahi
teri yaadon se bagaavat bhi nahin kar sakte

jhooth bole to jahaan ne hamein fankaari kaha
ab to sach kehne ki himmat bhi nahin kar sakte

is naye daur ne maa-baap ka haq cheen liya
apne bacchon ko naseehat bhi nahin kar sakte

ham ujaalon ke payambar to nahin hain lekin
kya charaagon ki hifazat bhi nahin kar sakte

qadr insaan ki ghat ghat ke yahan tak pahunchee
ab to qeemat mein ri'ayat bhi nahin kar sakte

fan ki tazeem mein mar jaaoge bhooke daana
tum to ghazalon ki tijaarat bhi nahin kar sakte

दिल लगाया है तो नफ़रत भी नहीं कर सकते
अब तिरे शहर से हिजरत भी नहीं कर सकते

आख़री वक़्त में जीने का सहारा है यही
तेरी यादों से बग़ावत भी नहीं कर सकते

झूट बोले तो जहाँ ने हमें फ़नकारी कहा
अब तो सच कहने की हिम्मत भी नहीं कर सकते

इस नए दौर ने माँ-बाप का हक़ छीन लिया
अपने बच्चों को नसीहत भी नहीं कर सकते

हम उजालों के पयम्बर तो नहीं हैं लेकिन
क्या चराग़ों की हिफ़ाज़त भी नहीं कर सकते

क़द्र इंसान की घट घट के यहाँ तक पहुँची
अब तो क़ीमत में रिआ'यत भी नहीं कर सकते

फ़न की ताज़ीम में मर जाओगे भूके 'दाना'
तुम तो ग़ज़लों की तिजारत भी नहीं कर सकते

- Abbas Dana
3 Likes

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Dana

As you were reading Shayari by Abbas Dana

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Dana

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari