kisi ke baad | किसी के बाद - Abbas Tabish

kisi ke baad
apne haathon ki baad-surati mein kho gai hai vo
mujhe kahti hai taabish tum ne dekha mere haathon ko
bure hain na
agar ye khoobsurat the to in mein koi bosa kyun nahin thehra
ajab ladki hai
pure jism se kaat kar faqat haathon mein zinda hai
suraahi-dar gardan naram honthon tez nazon se vo baad-jaan hai
ki in apnon ne hi us ko sar-i-bazaar fenka tha
kabhi aankhon mein doobi
aur kabhi bistar pe silvat ki tarah ubhri
ajab ladki hai
khud ko dhoondhti hai
apne haathon ki lakeeron mein
jahaan vo thi na hai aainda bhi shaayad nahin hogi
vo jab ungli ghuma kar
faiz ki nazmein sunti hai
to is ke haath se pure badan ka dukh jhalakta hai
vo hansati hai to us ke haath rote hain
ajab ladki hai
pure jism se kaat kar faqat haathon mein zinda hai
mujhe kahti hai taabish tum ne dekha mere haathon ko
bure hain na
main shaayad gir chooka hoon apni nazon se
main chhupna chahta hoon us ke thaile mein
jahaan cigarette hain maachis hai
jo us ka haal maazi aur mustaqbil
ajab ladki hai
aaye to khushi ki tarah aati hai
use mujh se mohabbat hai
ki shaayad mujh mein bhi baad-surati hai us ke haathon ki

किसी के बाद
अपने हाथों की बाद-सुरति में खो गई है वो
मुझे कहती है 'ताबिश'! तुम ने देखा मेरे हाथों को
बुरे हैं ना?
अगर ये खूबसूरत थे तो इन में कोई बोसा क्यों नहीं ठहरा
अजब लड़की है
पुरे जिस्म से काट कर फ़क़त हाथों में ज़िंदा है
सुराही-दर गर्दन नरम होंठों तेज़ नज़रों से वो बाद-जान है
की इन अपनों ने ही उस को सर-इ-बाजार फेंका था
कभी आँखों में डूबी
और कभी बिस्तर पे सिलवट की तरह उभरी
अजब लड़की है
खुद को ढूंढ़ती है
अपने हाथों की लकीरों में
जहाँ वो थी न है आइंदा भी शायद नहीं होगी
वो जब ऊँगली घुमा कर
'फैज़' की नज़्में सुनती है
तो इस के हाथ से पुरे बदन का दुःख झलकता है
वो हंसती है तो उस के हाथ रोते हैं
अजब लड़की है
पुरे जिस्म से काट कर फ़क़त हाथों में ज़िंदा है
मुझे कहती है 'ताबिश'! तुम ने देखा मेरे हाथों को
बुरे हैं ना?
मैं शायद गिर चूका हूँ अपनी नज़रों से
मैं छुपना चाहता हूँ उस के थैले में
जहाँ सिगरेट हैं माचिस है
जो उस का हाल माज़ी और मुस्तक़बिल!
अजब लड़की है
आए तो ख़ुशी की तरह आती है
उसे मुझ से मोहब्बत है
की शायद मुझ में भी बाद-सुरति है उस के हाथों की!

- Abbas Tabish
3 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Tabish

As you were reading Shayari by Abbas Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Tabish

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari