bas bayabaan the aur vehshat thi
shaayad allah ko nadaamat thi
pehle aadam ke aur aadam baad
na abhi hai na aadmiyat thi
ab ye jee daud bhaag maangta hai
pehle pehle mujhe bhi fursat thi
aaj jis aasmaan mein tairte ho
kabhi meri wahan bhi shirkat thi
kya kahogi agar kabhi main kahoon
tumse pehle bhi ik mohabbat thi
jab gire hi to kar liya sajda
kuchh isi haal mein ibadat thi
nahin tum mein to koii nuqs na tha
mujhe khud se hi kuchh shikaayat thi
aaj chup ho to kal ko cheekhoge
kuchh na kehna meri bhi aadat thi
uski rahmat ki tab mila mujhko
jab khuda kii badi zaroorat thi
baithe jab aeroplane mein yusha
jeb mein sukhan-fahmon kii qeemat thi
बस बयाबाॅं थे और वहशत थी
शायद अल्लाह को नदामत थी
पहले आदम के और आदम बाद
न अभी है न आदमीयत थी
अब ये जी दौड़ भाग माॅंगता है
पहले पहले मुझे भी फ़ुर्सत थी
आज जिस आसमाँ में तैरते हो
कभी मेरी वहाँ भी शिरकत थी
क्या कहोगी अगर कभी मैं कहूॅं
तुमसे पहले भी इक मोहब्बत थी
जब गिरे ही तो कर लिया सजदा
कुछ इसी हाल में इबादत थी
नहीं तुम में तो कोई नुक़्स न था
मुझे ख़ुद से ही कुछ शिकायत थी
आज चुप हो तो कल को चीख़ोगे
कुछ न कहना मेरी भी आदत थी
उसकी रहमत कि तब मिला मुझको
जब ख़ुदा की बड़ी ज़रूरत थी
बैठे जब ऐरोप्लेन में यूशा
जेब में साइकिल की क़ीमत थी
As you were reading Shayari by Yusha Abbas 'Amr'
our suggestion based on Yusha Abbas 'Amr'
As you were reading undefined Shayari