ghazal mein jab bhi naye zaaviyon ki baat hui | ग़ज़ल में जब भी नए ज़ावियों की बात हुई

  - Abhishar Geeta Shukla

ghazal mein jab bhi naye zaaviyon ki baat hui
tumhaare jism pe khilte tilon ki baat hui

purane zakhm ubhar aaye jism par mere
isee bahaane kai doston ki baat hui

udaas log isee baat se hain khush ki chalo
hamaare saath hue haadson ki baat hui

ziyaada to nahin par itna yaad hai mujhko
hamaare hont mile dhadkanoon ki baat hui

hamaare saamne hi doosre ka zikr hua
diye ke saamne hi aandhiyon ki baat hui

naye se daur mein kuchh aur to nahin hua par
sawaal karti hui ladkiyon ki baat hui

ग़ज़ल में जब भी नए ज़ावियों की बात हुई
तुम्हारे जिस्म पे खिलते तिलों की बात हुई

पुराने ज़ख़्म उभर आए जिस्म पर मेरे
इसी बहाने कई दोस्तों की बात हुई

उदास लोग इसी बात से हैं ख़ुश कि चलो
हमारे साथ हुए हादसों की बात हुई

ज़ियादा तो नहीं पर इतना याद है मुझको
हमारे होंठ मिले धड़कनों की बात हुई

हमारे सामने ही दूसरे का ज़िक्र हुआ
दिए के सामने ही आँधियों की बात हुई

नए से दौर में कुछ और तो नहीं हुआ पर
सवाल करती हुई लड़कियों की बात हुई

  - Abhishar Geeta Shukla

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishar Geeta Shukla

As you were reading Shayari by Abhishar Geeta Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Abhishar Geeta Shukla

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari