aapka zikr hamne kahaan kar diya jaam se jaam takraaye hain raat-bhar
may-kade bhir gaye may-kade se idhar yaar mushkil se behlaaye hain raat-bhar
aabgeena nazar aabgeena badan kya khabar kis khuda kii hai kaarigari
phir qabaa-doz ne bhi qaba yun sili dekh kar hoor barraaye hain raat-bhar
phir yakeen ho gaya raat mein jab uthe ham hawa to kahin bhi chali hi nahin
ham mare ja rahe the yahi soch kar aapke baal lehraaye hain raat-bhar
aatish-e-toor sa hai badan kya karein zulf mein bijliyaan aankh mein aablaa
aadmi to chalo aadmi hai magar chaand taare ki tharraaye hain raat-bhar
main gaya hi nahin shehar mein aapke phir bhi ilzaam saare mujhi par lage
be-gunaahi bhi saabit kahaan tak karoon munsifon ne hi lagwaaye hain raat-bhar
आपका ज़िक्र हमने कहाँ कर दिया जाम से जाम टकराए हैं रात-भर
मय-कदे भिड़ गए मय-कदे से इधर यार मुश्किल से बहलाए हैं रात-भर
आबगीना नज़र आबगीना बदन क्या ख़बर किस ख़ुदा की है कारीगरी
फिर क़बा-दोज़ ने भी क़बा यूँ सिली देख कर हूर बर्राए हैं रात-भर
फिर यकीं हो गया रात में जब उठे हम हवा तो कहीं भी चली ही नहीं
हम मरे जा रहे थे यही सोच कर आपके बाल लहराए हैं रात-भर
आतिश-ए-तूर सा है बदन क्या करें ज़ुल्फ़ में बिजलियाँ आँख में आबला
आदमी तो चलो आदमी है मगर चाँद तारे कि थर्राए हैं रात-भर
मैं गया ही नहीं शहर में आपके फिर भी इल्ज़ाम सारे मुझी पर लगे
बे-गुनाही भी साबित कहाँ तक करूँ मुंसिफ़ों ने ही लगवाए हैं रात-भर
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari