khaamosh kyun hai bol na kaisa dayaar doon | ख़ामोश क्यूँ है बोल न कैसा दयार दूँ

  - Prashant Kumar

khaamosh kyun hai bol na kaisa dayaar doon
roti ke saath-saath mein kitni pagaar doon

khaamosh ho le dekh bahut der ho gai
aisa na ho ki seene mein khanjar utaar doon

khud ke makaan mein are cheenti bhi sher hai
baahar nikal ke dekh na kaaya nikhaar doon

kitna haseen gulaab hai bilkul tiri tarah
aa ja qareeb haath se choti guhaar doon

aise khuda-shinas farishte to kuchh nahin
main to nujoomiyon kii bhi qismat sanwaar doon

ख़ामोश क्यूँ है बोल न कैसा दयार दूँ
रोटी के साथ-साथ में कितनी पगार दूँ

ख़ामोश हो ले देख बहुत देर हो गई
ऐसा न हो कि सीने में ख़ंजर उतार दूँ

ख़ुद के मकान में अरे चींटी भी शेर है
बाहर निकल के देख न काया निखार दूँ

कितना हसीं गुलाब है बिल्कुल तिरी तरह
आ जा क़रीब हाथ से चोटी गुहार दूँ

ऐसे ख़ुदा-शनास फ़रिश्ते तो कुछ नहीं
मैं तो नुजूमियों की भी क़िस्मत सँवार दूँ

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari