may-khaana-e-hasti ka kya daur kharab aaya | मय-ख़ाना-ए-हस्ती का क्या दौर ख़राब आया

  - Prashant Kumar

may-khaana-e-hasti ka kya daur kharab aaya
kaaghaz pe sharaab aayi haathon mein kebab aaya

deedaar ke waqt unki ye baat chubhi hamko
saalon mein to aaye the saalon mein hijaab aaya

ham kaam maheenon ka second mein karte hain
nazarein hi mili theen bas itne mein gulaab aaya

milne ke bahaane se kal hamko bulaaya tha
phir baat kii shaadi kii ghar se bhi jawaab aaya

manzoor nahin karte phir meri nishaani kyun
maqbool nahin hoon ya ghairon ka jawaab aaya

kirdaar to hai yaktaa tera ki prashaant a'laa
tu jab bhi jahaan aaya bankar ke nawaab aaya

मय-ख़ाना-ए-हस्ती का क्या दौर ख़राब आया
काग़ज़ पे शराब आई हाथों में कबाब आया

दीदार के वक़्त उनकी ये बात चुभी हमको
सालों में तो आए थे सालों में हिजाब आया

हम काम महीनों का सेकेंड में करते हैं
नज़रें ही मिली थीं बस इतने में गुलाब आया

मिलने के बहाने से कल हमको बुलाया था
फिर बात की शादी की घर से भी जवाब आया

मंज़ूर नहीं करते फिर मेरी निशानी क्यूँ
मक़बूल नहीं हूँ या ग़ैरों का जवाब आया

किरदार तो है यकता तेरा कि 'प्रशांत' आ'ला
तू जब भी जहाँ आया बनकर के नवाब आया

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari