chalo maana samandar ko main ungli par nachaata hoon | चलो माना समंदर को मैं उँगली पर नचाता हूँ - Prashant Kumar

chalo maana samandar ko main ungli par nachaata hoon
magar moti bina pooche na lehron se uthaata hoon

khuda ko bhi khabar hai main qadam jis mulk mein rakh doon
to lashkar kya wahan ki sab zameenen cheen laata hoon

tiri aankhon ke surme se hi raushan hain meri aankhen
tu jab surmaa lagati hai to main bhi dekh paata hoon

khuda ke aur mere ilm mein bas farq itna hai
khuda duniya banata hai khuda ko main banata hoon

nazar kaise lagegi bol jab dair o haram jaakar
tiri chadhti jawaani ke liye sadqa chadhata hoon

चलो माना समंदर को मैं उँगली पर नचाता हूँ
मगर मोती बिना पूछे न लहरों से उठाता हूँ

ख़ुदा को भी ख़बर है मैं क़दम जिस मुल्क में रख दूँ
तो लश्कर क्या वहाँ की सब ज़मीनें छीन लाता हूँ

तिरी आँखों के सुरमे से ही रौशन हैं मिरी आँखें
तू जब सुरमा लगाती है तो मैं भी देख पाता हूँ

ख़ुदा के और मेरे 'इल्म में बस फ़र्क़ इतना है
ख़ुदा दुनिया बनाता है ख़ुदा को मैं बनाता हूँ

नज़र कैसे लगेगी बोल जब दैर ओ हरम जाकर
तिरी चढ़ती जवानी के लिए सदक़ा चढ़ाता हूँ

- Prashant Kumar
1 Like

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari