main to kabhi hujoom ke peechhe nahin gaya
oopar to chadh gaya kabhi neeche nahin gaya
maanjhi bhi hai gawaah maletha bhi hai gawaah
manzil ka raasta koii seedhe nahin gaya
khargosh ke ye kaan mein kachhap ne khud kaha
main tere saath daud mein dheere nahin gaya
dekha to may-kade se nikalte hue magar
shaayad mere khayal se peeke nahin gaya
khanjar ke bal pe sabko bulaaya zameen pe so
marzi se koii zindagi jee ke nahin gaya
मैं तो कभी हुजूम के पीछे नहीं गया
ऊपर तो चढ़ गया कभी नीचे नहीं गया
माँझी भी है गवाह मलेथा भी है गवाह
मंज़िल का रास्ता कोई सीधे नहीं गया
ख़रगोश के ये कान में कच्छप ने ख़ुद कहा
मैं तेरे साथ दौड़ में धीरे नहीं गया
देखा तो मय-कदे से निकलते हुए मगर
शायद मिरे ख़याल से पीके नहीं गया
ख़ंजर के बल पे सबको बुलाया ज़मीं पे सो
मर्ज़ी से कोई ज़िंदगी जी के नहीं गया
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari