sochta hoon abhi munsif ko uchhaala de doon | सोचता हूँ अभी मुंसिफ़ को उछाला दे दूँ

  - Prashant Kumar

sochta hoon abhi munsif ko uchhaala de doon
cheenkar uski faqeeron ko dushaala de doon

lootkar tera faqeeron ko khazana de doon
aur bhi kya-kya hai sar-e-bazm hawala de doon

ai khuda main hoon fate haal bata phir karoon kya
cheen kar tera faqeeron ko nivaala de doon

jhopda chhod agar koii andhere mein ho
to main to khud ko jala karke ujaala de doon

farsh-e-gul taaj-mahal ye to purane hain sab
aa mohabbat kii nishaani mein shivaala de doon

vo khareedega nahin kuchh bhi dukaan-e-dil se
chal kisi aur ko saanson ka qabaala de doon

सोचता हूँ अभी मुंसिफ़ को उछाला दे दूँ
छीनकर उसकी फ़क़ीरों को दुशाला दे दूँ

लूटकर तेरा फ़क़ीरों को ख़ज़ाना दे दूँ
और भी क्या-क्या है सर-ए-बज़्म हवाला दे दूँ

ऐ ख़ुदा मैं हूँ फटे हाल बता फिर करूँ क्या
छीन कर तेरा फ़क़ीरों को निवाला दे दूँ

झोपड़ा छोड़ अगर कोई अँधेरे में हो
तो मैं तो ख़ुद को जला करके उजाला दे दूँ

फ़र्श-ए-गुल ताज-महल ये तो पुराने हैं सब
आ मोहब्बत की निशानी में शिवाला दे दूँ

वो ख़रीदेगा नहीं कुछ भी दुकान-ए-दिल से
चल किसी और को साँसों का क़बाला दे दूँ

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari