paighaam zindagi ka ab kya tumhein sunaana | पैग़ाम ज़िंदगी का अब क्या तुम्हें सुनाना - Prashant Kumar

paighaam zindagi ka ab kya tumhein sunaana
tumko to sab khabar hai anjaan hai zamaana

taaleem dene waalon sab yaad aa raha hai
jis dam diya tha tumne taaleem ka khazaana

taqreer jis jagah par leti hai naam mera
tum gaur se to dekho hai vo hi jail-khaana

mera jo tha saraapa vo fard tha sabhi se
duniya mein har kisi ka main hi to tha nishaana

deewaar se chipak ke vo khoob ro rahi thi
aankhon ka ashk uski baarood ka tha daana

baad-e-saba se vo to kal khoob lad rahi thi
achha nahin laga tha yun mujhko chhooke jaana

aankhon pe haath dhar ke peechhe se gudgudaati
kahti jahaan mein mera tu hi to hai deewana

saare jahaan se mujhko rakhti thi vo chhupa kar
manzoor hi nahin tha chehra mera dikhaana

tum jaan ho hamaari ham jaan hain tumhaari
ye baat tum kisi ko bilkul nahin bataana

vo mere jhopde se jab bhi kabhi guzarti
ghanton nihaarti thi phir to ghareeb-khaana

पैग़ाम ज़िंदगी का अब क्या तुम्हें सुनाना
तुमको तो सब ख़बर है अंजान है ज़माना

तालीम देने वालों सब याद आ रहा है
जिस दम दिया था तुमने तालीम का ख़ज़ाना

तक़रीर जिस जगह पर लेती है नाम मेरा
तुम ग़ौर से तो देखो है वो ही जेल-ख़ाना

मेरा जो था सरापा वो फ़र्द था सभी से
दुनिया में हर किसी का मैं ही तो था निशाना

दीवार से चिपक के वो ख़ूब रो रही थी
आँखों का अश्क उसकी बारूद का था दाना

बाद-ए-सबा से वो तो कल ख़ूब लड़ रही थी
अच्छा नहीं लगा था यूँ मुझको छूके जाना

आँखों पे हाथ धर के पीछे से गुदगुदाती
कहती जहाँ में मेरा तू ही तो है दिवाना

सारे जहाँ से मुझको रखती थी वो छुपा कर
मंज़ूर ही नहीं था चेहरा मिरा दिखाना

तुम जान हो हमारी हम जान हैं तुम्हारी
ये बात तुम किसी को बिल्कुल नहीं बताना

वो मेरे झोपड़े से जब भी कभी गुज़रती
घण्टों निहारती थी फिर तो ग़रीब-ख़ाना

- Prashant Kumar
0 Likes

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari