tira jab kamaal-e-nazar dekhte hain
sharaabon mein bhi ham asar dekhte hain
tujhi ko idhar se udhar dekhte hain
dariche par karke guzar dekhte hain
qayamat qayamat nazar aa rahi hai
uthakar jidhar bhi nazar dekhte hain
tire zikr par anjuman mein suhan-var
suna kar khud apni khabar dekhte hain
agar haath rakh de nabi ke bhi tan mein
kai saal tak phir asar dekhte hain
khuda sochte hain mohabbat kii shaayad
tira har taraf se figar dekhte hain
तिरा जब कमाल-ए-नज़र देखते हैं
शराबों में भी हम असर देखते हैं
तुझी को इधर से उधर देखते हैं
दरीचे पर करके गुज़र देखते हैं
क़यामत क़यामत नज़र आ रही है
उठाकर जिधर भी नज़र देखते हैं
तिरे ज़िक्र पर अंजुमन में सुख़न-वर
सुना कर ख़ुद अपनी ख़बर देखते हैं
अगर हाथ रख दे नबी के भी तन में
कई साल तक फिर असर देखते हैं
ख़ुदा सोचते हैं मोहब्बत की शायद
तिरा हर तरफ़ से फिगर देखते हैं
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari