kabhi baahon mein kabhi dil mein sula dete hain | कभी बाहों में कभी दिल में सुला देते हैं - Prashant Kumar

kabhi baahon mein kabhi dil mein sula dete hain
na lage aankh to lori bhi suna dete hain

jab bhi lete hain sar-e-aam hi lete bosa
kuchh kahe koii to chaanta bhi laga dete hain

jab nahin milta kahin par bhi hakeem unko to
phir mudaava ke liye mujhko bitha dete hain

jab bhi zakhamon ko liye ghar se nikalte hain ham
chhodkar kaam namak log laga dete hain

har taraf aatish-e-sayyaal sa hoon barpa hua
log phir bhi mujhe aanchal se hawa dete hain

कभी बाहों में कभी दिल में सुला देते हैं
न लगे आँख तो लोरी भी सुना देते हैं

जब भी लेते हैं सर-ए-आम ही लेते बोसा
कुछ कहे कोई तो चाँटा भी लगा देते हैं

जब नहीं मिलता कहीं पर भी हकीम उनको तो
फिर मुदावा के लिए मुझको बिठा देते हैं

जब भी ज़ख़्मों को लिए घर से निकलते हैं हम
छोड़कर काम नमक लोग लगा देते हैं

हर तरफ़ आतिश-ए-सय्याल सा हूँ बरपा हुआ
लोग फिर भी मुझे आँचल से हवा देते हैं

- Prashant Kumar
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari