rakhta na tha jo haath bhi dil par use kehna
kyun rakh raha hai god mein ab sar use kehna
aaye na palat kar vo sitamgar use kehna
dil aata nahin ab kisi shay par use kehna
phoolon sa badan le ke chali jaaye kahin door
mehkaaye kisi aur ka bistar use kehna
hamne bhi muhabbat mein bade julm sahe hain
the ham bhi kabhi uski jagah par use kehna
pardes mein hongi na mayassar ye bahaarein
ye soch ke chhodaa nahin hai ghar use kehna
masroof hain ab ghar ke niji maamalon mein ham
dikhlaaye kisi aur ko tevar use kehna
milne kii hamein ilm tamannaa to bahut hai
milta hi nahin milne ka avsar use kehna
रखता न था जो हाथ भी दिल पर उसे कहना
क्यूँ रख रहा है गोद में अब सर उसे कहना
आए न पलट कर वो सितमगर उसे कहना
दिल आता नहीं अब किसी शय पर उसे कहना
फूलों सा बदन ले के चली जाए कहीं दूर
महकाए किसी और का बिस्तर उसे कहना
हमने भी मुहब्बत में बड़े जुल्म सहे हैं
थे हम भी कभी उसकी जगह पर उसे कहना
परदेस में होंगी न मयस्सर ये बहारें
ये सोच के छोड़ा नहीं है घर उसे कहना
मसरूफ़ हैं अब घर के निजी मामलों में हम
दिखलाए किसी और को तेवर उसे कहना
मिलने की हमें 'इल्म' तमन्ना तो बहुत है
मिलता ही नहीं मिलने का अवसर उसे कहना
As you were reading Shayari by Adesh Rathore
our suggestion based on Adesh Rathore
As you were reading undefined Shayari