tumne hamein bhi saath nibhaane nahin diya
dil mein kisi bhi gair ko aane nahin diya
ham par hai zindagi ne kiya zulm is qadar
rone diya to shor machaane nahin diya
ik baar hamne dard ko dil mein panaah di
aur zindagi se phir kabhi jaane nahin diya
dushwaariyon ke khauf se jeene ka man na tha
majbooriyon ne zahar bhi khaane nahin diya
daulat pe apni kal bada itra rahe the jo
kuchh bhi khuda ne saath mein laane nahin diya
khud apni khwahishaat kii parwa kiye baghair
kaanton ko teri raah mein aane nahin diya
aankhen na bhool jaun kahin apni haisiyat
so inko tera khwaab sajaane nahin diya
duniya mein ilm log hain do qism ke magar
khud ko kisi bhi qism mein aane nahin diya
तुमने हमें भी साथ निभाने नहीं दिया
दिल में किसी भी ग़ैर को आने नहीं दिया
हम पर है ज़िंदगी ने किया ज़ुल्म इस क़दर
रोने दिया तो शोर मचाने नहीं दिया
इक बार हमने दर्द को दिल में पनाह दी
और ज़िंदगी से फिर कभी जाने नहीं दिया
दुश्वारियों के ख़ौफ़ से जीने का मन न था
मजबूरियों ने ज़हर भी खाने नहीं दिया
दौलत पे अपनी कल बड़ा इतरा रहे थे जो
कुछ भी ख़ुदा ने साथ में लाने नहीं दिया
ख़ुद अपनी ख़्वाहिशात की पर्वा किए बग़ैर
काँटों को तेरी राह में आने नहीं दिया
आँखें न भूल जाऍं कहीं अपनी हैसियत
सो इनको तेरा ख़्वाब सजाने नहीं दिया
दुनिया में इल्म लोग हैं दो क़िस्म के मगर
ख़ुद को किसी भी क़िस्म में आने नहीं दिया
As you were reading Shayari by Adesh Rathore
our suggestion based on Adesh Rathore
As you were reading undefined Shayari