raah bhola hoon magar ye meri khaami to nahin
main kahi aur se aaya hoon maqaami to nahin
ooncha lahja hai faqat zor-e-dalaail ke liye
ai meri jaan ye meri talkh-kalaami to nahin
un darakhton ko dua do ki jo raaste mein na the
jaldi aane ka sabab tez-khiraami to nahin
teri masnad pe koi aur nahin aa saka
ye mera dil hai koi khaali asaami to nahin
main hama-waqt mohabbat mein pada rehta tha
phir kisi dost se poocha ye ghulaami to nahin
bartari itni bhi apni na jata ai mere ishq
tu nadeem-o-zaki o kaashif-o-kaami to nahin
राह भोला हूँ मगर ये मिरी ख़ामी तो नहीं
मैं कहीं और से आया हूँ मक़ामी तो नहीं
ऊँचा लहजा है फ़क़त ज़ोर-ए-दलाएल के लिए
ऐ मिरी जाँ ये मिरी तल्ख़-कलामी तो नहीं
उन दरख़्तों को दुआ दो कि जो रस्ते में न थे
जल्दी आने का सबब तेज़-ख़िरामी तो नहीं
तेरी मसनद पे कोई और नहीं आ सकता
ये मिरा दिल है कोई ख़ाली असामी तो नहीं
मैं हमा-वक़्त मोहब्बत में पड़ा रहता था
फिर किसी दोस्त से पूछा ये ग़ुलामी तो नहीं
बरतरी इतनी भी अपनी न जता ऐ मिरे इश्क़
तू 'नदीम'-ओ-'ज़की' ओ 'काशिफ़'-ओ-'कामी' तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Khan
our suggestion based on Afzal Khan
As you were reading Dosti Shayari Shayari