jee huzoori kabhi nahin karta
isliye naukri nahin karta
main buraai sabhi kii karta hoon
par kabhi aapki nahin karta
baatein dilchasp main bhi karta hoon
haan magar aap sii nahin karta
baat sunte to beech raste mein
main yun gaadi khadi nahin karta
teri hi baaton se mili himmat
phone varna kabhi nahin karta
teergi gar ahem nahin hoti
to khuda raat hi nahin karta
dil kai tootne se bach jaate
main agar shayari nahin karta
जी हुजू़री कभी नहीं करता
इसलिए नौकरी नहीं करता
मैं बुराई सभी की करता हूँ
पर कभी आपकी नहीं करता
बातें दिलचस्प मैं भी करता हूँ
हाँ मगर आप सी नहीं करता
बात सुनते तो बीच रस्ते में
मैं यूँ गाड़ी खड़ी नहीं करता
तेरी ही बातों से मिली हिम्मत
फ़ोन वरना कभी नहीं करता
तीरगी गर अहम नहीं होती
तो ख़ुदा रात ही नहीं करता
दिल कई टूटने से बच जाते
मैं अगर शायरी नहीं करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by S M Afzal Imam
our suggestion based on S M Afzal Imam
As you were reading Ummeed Shayari Shayari