yahan jo shakhs tha vo ghar gaya hai | यहाँ जो शख़्स था वो घर गया है - Afzal Sultanpuri

yahan jo shakhs tha vo ghar gaya hai
zameen par tha abhi andar gaya hai

kiya tha qaid roohon ne use to
use dhoondho nahin vo mar gaya hai

uthaai jab nazar hum par kisi ne
badan kya cheez phir to sar gaya hai

kabeela khatm kar denge kisi din
hamaari simt vo lashkar gaya hai

madeena ko gaya darvesh afzal
zara pashchim zara uttar gaya hai

bade hi shauk se boli ki bacche
mujhe kehna pada tum par gaya hai

यहाँ जो शख़्स था वो घर गया है
ज़मीं पर था अभी अंदर गया है

किया था क़ैद रूहों ने उसे तो
उसे ढूँढो नहीं वो मर गया है

उठाई जब नज़र हम पर किसी ने
बदन क्या चीज़ फिर तो सर गया है

कबीला ख़त्म कर देंगें किसी दिन
हमारी सिम्त वो लश्कर गया है

मदीना को गया दरवेश अफ़ज़ल
ज़रा पश्चिम ज़रा उत्तर गया है

बड़े ही शौक से बोली कि बच्चे
मुझे कहना पड़ा तुम पर गया है

- Afzal Sultanpuri
3 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Sultanpuri

As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Sultanpuri

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari