tum aur fareb khao bayaan-e-raqeeb se | तुम और फ़रेब खाओ बयान-ए-रक़ीब से

  - Agha Hashr Kashmiri

tum aur fareb khao bayaan-e-raqeeb se
tum se to kam gila hai ziyaada naseeb se

goya tumhaari yaad hi mera ilaaj hai
hota hai paharon zikr tumhaara tabeeb se

barbaad dil ka aakhiri sarmaaya thi umeed
vo bhi to tum ne cheen liya mujh gareeb se

dhundla chali nigaah dam-e-waapsi hai ab
aa paas aa ke dekh luun tujh ko qareeb se

तुम और फ़रेब खाओ बयान-ए-रक़ीब से
तुम से तो कम गिला है ज़ियादा नसीब से

गोया तुम्हारी याद ही मेरा इलाज है
होता है पहरों ज़िक्र तुम्हारा तबीब से

बरबाद दिल का आख़िरी सरमाया थी उमीद
वो भी तो तुम ने छीन लिया मुझ ग़रीब से

धुँदला चली निगाह दम-ए-वापसीं है अब
आ पास आ के देख लूँ तुझ को क़रीब से

  - Agha Hashr Kashmiri

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Hashr Kashmiri

As you were reading Shayari by Agha Hashr Kashmiri

Similar Writers

our suggestion based on Agha Hashr Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari