kam-nigaahi bhi hai khaamoshi bhi rooposhi bhi | कम-निगाही भी है ख़ामोशी भी रूपोशी भी - Ahmad Fakhir

kam-nigaahi bhi hai khaamoshi bhi rooposhi bhi
kitni ma'soom hai ehsaan-faraamoshi bhi

hum-safar tu jo nahin hai to ye dhadka hai humein
thak na jaaye kahi raaste mein wafa-koshi bhi

ab tu hi rakhna mere pairahan-e-gham ka khayal
hosh ki tarah se rusva na ho be-hoshi bhi

ghar mein rahiye to siva hoti hai vehshat faakhir
cheekhne lagti hai tanhaai mein khaamoshi bhi

कम-निगाही भी है ख़ामोशी भी रूपोशी भी
कितनी मा'सूम है एहसान-फ़रामोशी भी

हम-सफ़र तू जो नहीं है तो ये धड़का है हमें
थक न जाए कहीं रस्ते में वफ़ा-कोशी भी

अब तू ही रखना मिरे पैराहन-ए-ग़म का ख़याल
होश की तरह से रुस्वा न हो बे-होशी भी

घर में रहिए तो सिवा होती है वहशत 'फ़ाख़िर'
चीख़ने लगती है तन्हाई में ख़ामोशी भी

- Ahmad Fakhir
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Fakhir

As you were reading Shayari by Ahmad Fakhir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Fakhir

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari