saamne us ke kabhi us ki sataish nahin ki | सामने उस के कभी उस की सताइश नहीं की

  - Ahmad Faraz

saamne us ke kabhi us ki sataish nahin ki
dil ne chaaha bhi agar honton ne jumbish nahin ki

ahl-e-mehfil pe kab ahvaal khula hai apna
main bhi khaamosh raha us ne bhi pursish nahin ki

jis qadar us se taalluq tha chala jaata hai
us ka kya ranj ho jis ki kabhi khwaahish nahin ki

ye bhi kya kam hai ki dono ka bharam qaaim hai
us ne bakshish nahin ki ham ne guzarish nahin ki

ik to ham ko adab aadaab ne pyaasa rakha
us pe mehfil mein suraahi ne bhi gardish nahin ki

ham ki dukh odh ke khilwat mein pade rahte hain
ham ne bazaar mein zakhamon ki numaish nahin ki

ai mere abr-e-karam dekh ye veeraana-e-jaan
kya kisi dasht pe tu ne kabhi baarish nahin ki

kat mare apne qabeele ki hifazat ke liye
maqtal-e-shehr mein thehre rahe jumbish nahin ki

vo hamein bhool gaya ho to ajab kya hai faraaz
ham ne bhi mel-mulaqaat ki koshish nahin ki

सामने उस के कभी उस की सताइश नहीं की
दिल ने चाहा भी अगर होंटों ने जुम्बिश नहीं की

अहल-ए-महफ़िल पे कब अहवाल खुला है अपना
मैं भी ख़ामोश रहा उस ने भी पुर्सिश नहीं की

जिस क़दर उस से तअल्लुक़ था चला जाता है
उस का क्या रंज हो जिस की कभी ख़्वाहिश नहीं की

ये भी क्या कम है कि दोनों का भरम क़ाएम है
उस ने बख़्शिश नहीं की हम ने गुज़ारिश नहीं की

इक तो हम को अदब आदाब ने प्यासा रक्खा
उस पे महफ़िल में सुराही ने भी गर्दिश नहीं की

हम कि दुख ओढ़ के ख़ल्वत में पड़े रहते हैं
हम ने बाज़ार में ज़ख़्मों की नुमाइश नहीं की

ऐ मिरे अब्र-ए-करम देख ये वीराना-ए-जाँ
क्या किसी दश्त पे तू ने कभी बारिश नहीं की

कट मरे अपने क़बीले की हिफ़ाज़त के लिए
मक़्तल-ए-शहर में ठहरे रहे जुम्बिश नहीं की

वो हमें भूल गया हो तो अजब क्या है 'फ़राज़'
हम ने भी मेल-मुलाक़ात की कोशिश नहीं की

  - Ahmad Faraz

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Faraz

As you were reading Shayari by Ahmad Faraz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Faraz

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari