teri baatein hi sunaane aaye
dost bhi dil hi dukhaane aaye
phool khilte hain to ham sochte hain
tere aane ke zamaane aaye
aisi kuchh chup si lagi hai jaise
ham tujhe haal sunaane aaye
ishq tanhaa hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bojh uthaane aaye
ajnabi dost hamein dekh ki ham
kuchh tujhe yaad dilaane aaye
dil dhadakta hai safar ke hangaam
kaash phir koi bulane aaye
ab to rone se bhi dil dukhta hai
shaayad ab hosh thikaane aaye
kya kahi phir koi basti ujadi
log kyun jashn manaane aaye
so raho maut ke pahluu mein faraaz
neend kis waqt na jaane aaye
तेरी बातें ही सुनाने आए
दोस्त भी दिल ही दुखाने आए
फूल खिलते हैं तो हम सोचते हैं
तेरे आने के ज़माने आए
ऐसी कुछ चुप सी लगी है जैसे
हम तुझे हाल सुनाने आए
इश्क़ तन्हा है सर-ए-मंज़िल-ए-ग़म
कौन ये बोझ उठाने आए
अजनबी दोस्त हमें देख कि हम
कुछ तुझे याद दिलाने आए
दिल धड़कता है सफ़र के हंगाम
काश फिर कोई बुलाने आए
अब तो रोने से भी दिल दुखता है
शायद अब होश ठिकाने आए
क्या कहीं फिर कोई बस्ती उजड़ी
लोग क्यूँ जश्न मनाने आए
सो रहो मौत के पहलू में 'फ़राज़'
नींद किस वक़्त न जाने आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Faraz
our suggestion based on Ahmad Faraz
As you were reading I love you Shayari Shayari