ham se pehle to kahi pyaar na tha shahr-b-shahr
apne hamraah ye sailaab gaya shahr-b-shahr
aise badnaam hui apni mehkati ghazlein
jaise aawaargi-e-mauj-e-saba shahr-b-shahr
log kya kya na gaye tod ke paimaan-e-wafa
dil ki dhadkan ne magar saath diya shahr-b-shahr
ham ki maasoom hain dehaat ke rahne waale
dhoondte firte hain kya jaaniye kya shahr-b-shahr
हम से पहले तो कहीं प्यार न था शहर-ब-शहर
अपने हमराह ये सैलाब गया शहर-ब-शहर
ऐसे बदनाम हुईं अपनी महकती ग़ज़लें
जैसे आवारगी-ए-मौज-ए-सबा शहर-ब-शहर
लोग क्या क्या न गए तोड़ के पैमान-ए-वफ़ा
दिल की धड़कन ने मगर साथ दिया शहर-ब-शहर
हम कि 'मासूम' हैं देहात के रहने वाले
ढूँडते फिरते हैं क्या जानिए क्या शहर-ब-शहर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Masoom
our suggestion based on Ahmad Masoom
As you were reading Rahbar Shayari Shayari