dilon pe zakham laga ke hazaar guzri bahaar | दिलों पे ज़ख़्म लगा के हज़ार गुज़री बहार

  - Ahmad Masoom

dilon pe zakham laga ke hazaar guzri bahaar
gai hai chhod ke ik yaadgaar guzri bahaar

mere qareeb jo koi gul-e-badan mahka
to aayi yaad koi khush-gawaar guzri bahaar

kisi tarah mujhe paagal na kar saki warna
tire baghair bhi aayi bahaar guzri bahaar

har ek sarv-e-ravaan par gumaan ki jaise wahi
ho mera maazi meri yaadgaar guzri bahaar

mere naseeb ka nauha khizaan ye ahad-e-khizaan
tire karam ka fasana bahaar guzri bahaar

दिलों पे ज़ख़्म लगा के हज़ार गुज़री बहार
गई है छोड़ के इक यादगार गुज़री बहार

मिरे क़रीब जो कोई गुल-ए-बदन महका
तो आई याद कोई ख़ुश-गवार गुज़री बहार

किसी तरह मुझे पागल न कर सकी वर्ना
तिरे बग़ैर भी आई बहार गुज़री बहार

हर एक सर्व-ए-रवाँ पर गुमाँ कि जैसे वही
हो मेरा माज़ी मिरी यादगार गुज़री बहार

मिरे नसीब का नौहा ख़िज़ाँ ये अहद-ए-ख़िज़ाँ
तिरे करम का फ़साना बहार गुज़री बहार

  - Ahmad Masoom

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Masoom

As you were reading Shayari by Ahmad Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Masoom

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari