aaj ro kar to dikhaaye koi aisa rona | आज रो कर तो दिखाए कोई ऐसा रोना

  - Ahmad Mushtaq

aaj ro kar to dikhaaye koi aisa rona
yaad kar ai dil-e-khaamosh vo apna rona

raqs karna kabhi khwaabon ke shabistaanon mein
kabhi yaadon ke sutoonon se liptna rona

tujh se seekhe koi rone ka saleeqa ai abr
kahi qatra na girana kahi dariya rona

rasm-e-duniya bhi wahi raah-e-tamanna bhi wahi
wahi mil baith ke hansna wahi tanhaa rona

ye tira taur samajh mein nahin aaya mushtaaq
kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona

आज रो कर तो दिखाए कोई ऐसा रोना
याद कर ऐ दिल-ए-ख़ामोश वो अपना रोना

रक़्स करना कभी ख़्वाबों के शबिस्तानों में
कभी यादों के सुतूनों से लिपटना रोना

तुझ से सीखे कोई रोने का सलीक़ा ऐ अब्र
कहीं क़तरा न गिराना कहीं दरिया रोना

रस्म-ए-दुनिया भी वही राह-ए-तमन्ना भी वही
वही मिल बैठ के हँसना वही तन्हा रोना

ये तिरा तौर समझ में नहीं आया 'मुश्ताक़'
कभी हँसते चले जाना कभी इतना रोना

  - Ahmad Mushtaq

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari