chhat gaya abr shafaq khul gai taare nikle | छट गया अब्र शफ़क़ खुल गई तारे निकले - Ahmad Mushtaq

chhat gaya abr shafaq khul gai taare nikle
band kamron se tire dard ke maare nikle

shaakh par pankhudiyaan hon ki palak par aansu
tere daaman ki jhalak dekh ke saare nikle

tu agar paas nahin hai kahi maujood to hai
tere hone se bade kaam hamaare nikle

tere honton meri aankhon se na badli duniya
phir wahi phool khile phir wahi taare nikle

rah gai laaj meri arz-e-wafa ki mushtaaq
khaamoshi se tiri kya kya na ishaare nikle

छट गया अब्र शफ़क़ खुल गई तारे निकले
बंद कमरों से तिरे दर्द के मारे निकले

शाख़ पर पंखुड़ियाँ हों कि पलक पर आँसू
तेरे दामन की झलक देख के सारे निकले

तू अगर पास नहीं है कहीं मौजूद तो है
तेरे होने से बड़े काम हमारे निकले

तेरे होंटों मेरी आँखों से न बदली दुनिया
फिर वही फूल खिले फिर वही तारे निकले

रह गई लाज मिरी अर्ज़-ए-वफ़ा की 'मुश्ताक़'
ख़ामुशी से तिरी क्या क्या न इशारे निकले

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari