mil hi aate hain use aisa bhi kya ho jaayega
bas yahi na dard kuchh dil ka siva ho jaayega
vo mere dil ki pareshaani se afsurda ho kyun
dil ka kya hai kal ko phir achha bhala ho jaayega
ghar se kuchh khwaabon se milne ke liye nikle the ham
kya khabar thi zindagi se saamna ho jaayega
rone lagta hoon mohabbat mein to kehta hai koi
kya tire ashkon se ye jungle haraa ho jaayega
kaise aa sakti hai aisi dil-nasheen duniya ko maut
kaun kehta hai ki ye sab kuchh fana ho jaayega
मिल ही आते हैं उसे ऐसा भी क्या हो जाएगा
बस यही न दर्द कुछ दिल का सिवा हो जाएगा
वो मिरे दिल की परेशानी से अफ़्सुर्दा हो क्यूँ
दिल का क्या है कल को फिर अच्छा भला हो जाएगा
घर से कुछ ख़्वाबों से मिलने के लिए निकले थे हम
क्या ख़बर थी ज़िंदगी से सामना हो जाएगा
रोने लगता हूँ मोहब्बत में तो कहता है कोई
क्या तिरे अश्कों से ये जंगल हरा हो जाएगा
कैसे आ सकती है ऐसी दिल-नशीं दुनिया को मौत
कौन कहता है कि ये सब कुछ फ़ना हो जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Nature Shayari Shayari