zara sharaab laake de do mere khoon ke liye | ज़रा शराब लाके दे दो मेरे ख़ून के लिए

  - Faiz Ahmad

zara sharaab laake de do mere khoon ke liye
ki aag chahiye mujhe mere junoon ke liye

hai haal ab vo muflisi ka mere ghar ke aaj o kal
mai khoon kar raha hoon khud ka khud ke khoon ke liye

milega vo hi jo likha hai maango ya na maango tum
dua to hai tumhaare dil ke bas sukoon ke liye

jahaan ki sabhi khushiyon ko ikhtta karke phir
ke qaid kar liya hai maine maah-e-june ke liye

ai haqim-e-shehr hairaan mat ho ye bata mujhe
dava hai tere paas mujh jise zuboon ke liye

nahin hai vo kisi bhi muqaabil-e-makaam ko
junoon-e-ishq jisko kam raha junoon ke liye

tira vo joda tere hone ka bharam dilaata hai
vo jo mai laaya tha tire mere shugoon ke liye

gujarati hai yun roz zindagi bechainiyon mein ki
sukoon se mai sochoonga kabhi sukoon ke liye

tum uske haal-e-dil pe gaur theek se diya karo
ke faiz dard ko barhaata hai sukoon ke liye

ज़रा शराब लाके दे दो मेरे ख़ून के लिए
कि आग चाहिए मुझे मिरे जुनून के लिए

है हाल अब वो मुफ़लिसी का मेरे घर के आज ओ कल
मै खून कर रहा हूं ख़ुद का ख़ुद के ख़ून के लिए

मिलेगा वो ही जो लिखा है मांगो य ना मांगो तुम
दुआ तो है तुम्हारे दिल के बस सुकून के लिए

जहान की सभी खुशियों को इख्ट्टा करके फिर
के क़ैद कर लिया है मैंने माह-ए-जून के लिए

ऐ हाक़िम-ए-शहर हैरान मत हो ये बता मुझे
दवा है तेरे पास मुझ जिसे ज़ुबून के लिए

नहीं है वो किसी भी मुक़ाबिल-ए-मकाम को
जुनून-ए-इश्क जिसको कम रहा जुनून के लिए

तिरा वो जोड़ा तेरे होने का भरम दिलाता है
वो जो मै लाया था तिरे मिरे शुगून के लिए

गुजरती है यूँ रोज़ ज़िन्दगी बेचैनियों में कि
सुकून से मै सोचूंगा कभी सुकून के लिए

तुम उसके हाल-ए-दिल पे गौर ठीक से दिया करो
के फ़ैज़ दर्द को बड़ाता है सुकून के लिए

  - Faiz Ahmad

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari