baaham jo husn o ishq mein yaaraana ho gaya
koi pari bana koi deewaana ho gaya
itni si baat par ki hui sham'a be-hijaab
taiyyaar jaan dene ko parwaana ho gaya
tang aa gaya hoon wus'at-e-mafhoom-e-ishq se
nikla jo harf munh se vo afsaana ho gaya
har dil mein yaad ban ke chhupe hain butaan-e-ishq
allah tera ghar bhi sanam-khaana ho gaya
faarigh takallufaat se hain rind-e-be-riya
chullu hi un ke vaaste paimaana ho gaya
tafseel apne jaur-o-sitam ki na poochiye
kya kya na aap ne kiya kya kya na ho gaya
dekhi hai jab se aankh kisi ki firee hui
aalam meri nigaah mein begaana ho gaya
khush hoon ki ho raha hai ye irshaad le ke dil
ahsan qubool tera ye nazraana ho gaya
बाहम जो हुस्न ओ इश्क़ में याराना हो गया
कोई परी बना कोई दीवाना हो गया
इतनी सी बात पर कि हुई शम्अ बे-हिजाब
तय्यार जान देने को परवाना हो गया
तंग आ गया हूँ वुस्अत-ए-मफ़हूम-ए-इश्क़ से
निकला जो हर्फ़ मुँह से वो अफ़्साना हो गया
हर दिल में याद बन के छुपे हैं बुतान-ए-इश्क़
अल्लाह तेरा घर भी सनम-ख़ाना हो गया
फ़ारिग़ तकल्लुफ़ात से हैं रिंद-ए-बे-रिया
चुल्लू ही उन के वास्ते पैमाना हो गया
तफ़्सील अपने जौर-ओ-सितम की न पूछिए
क्या क्या न आप ने किया क्या क्या न हो गया
देखी है जब से आँख किसी की फिरी हुई
आलम मिरी निगाह में बेगाना हो गया
ख़ुश हूँ कि हो रहा है ये इरशाद ले के दिल
'अहसन' क़ुबूल तेरा ये नज़राना हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Rishta Shayari Shayari