ham bhi guzar gaye yahan kuchh pal guzaar ke | हम भी गुज़र गए यहाँ कुछ पल गुज़ार के

  - Ajay Sahaab

ham bhi guzar gaye yahan kuchh pal guzaar ke
raatein theen qarz ki yahan din the udhaar ke

jaise puraana haar tha rishta tira mera
achha kiya jo rakh diya tu ne utaar ke

dil mein hazaar dard hon aansu chhupa ke rakh
koi to kaarobaar ho bin ishtehaar ke

kya jaane ab bhi dard ko kyun hai meri talash
tukde bhi ab kahaan bache is ke shikaar ke

shaayad zabaan pe qarz tha ham ne chuka diya
khaamosh ho gaye hain tujhe ham pukaar ke

aise sulag utha tiri yaadon se dil mera
jaise dhadhak uthe kahi jungle chinaar ke

हम भी गुज़र गए यहाँ कुछ पल गुज़ार के
रातें थीं क़र्ज़ की यहाँ दिन थे उधार के

जैसे पुराना हार था रिश्ता तेरा मेरा
अच्छा किया जो रख दिया तूने उतार के

दिल में हज़ार दर्द हों आँसू छुपा के रख
कोई तो कारोबार हो बिन इश्तिहार के

क्या जाने अब भी दर्द को क्यूँ है मेरी तलाश
टुकड़े भी अब कहाँ बचे इस के शिकार के

शायद ज़बाँ पे क़र्ज़ था हम ने चुका दिया
ख़ामोश हो गए हैं तुझे हम पुकार के

ऐसे सुलग उठा तेरी यादों से दिल मेरा
जैसे धधक उठें कहीं जंगल चिनार के

  - Ajay Sahaab

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari